-->

Indian Railway (IRCTC) 5 Secret Rules For Travelers - रेलवे में यात्रा करने से पहले इन नियमों को जरूर जान ले।


Aap bhi railway mein yatra karte rahte hoge, lekin kai aise niyam hain, jinke baare mein aap shayad hee jante honge. in niyam ko jankar aap kai dikkaton ko dur kar sakte hain aur apne Safar ko aaram dayak bana sakte hain. Chaliye jante hain train ke ye ansune niyam.

Indian Railway (IRCTC) 5 Secret Rules For Travelers

  • Agar aap ticket kharidne ke baad yatra nahin karte hain to TC aapki seat apke boarding station se agale 2 (maximum) station tak kisi ko bhi nahin de sakta. Matlab TC ko aapka 1 ghante tak intezar karna hoga (yah nirbhar karta hai ki aapki journey kitni lambi hai). Iska matlab ye hai ki aap agale station se bhi train pakad sakte hain.

  • Agar aapki train chhut jaati hai to aapko TDR (Ticket Deposit Receipt) file karna hoga aur ise manjur hone par Base fare ka 50% refund Mil jata Hai.

  • Railway niyam ke anusar jis bhi yatri ki middle birth reserved hoti hai, to voh raat 10 baje se subah 6 baje tak apni seat par soo sakta hai. Uske baad uski seat ko down karna hoga, Taki dusre yatri lower birth par baith sake.

  • Railway niyam ke anusar TC aapko raat 10 baje ke baad disturb nahin kar sakta hai. TC ko subah 6 se raat 10 baje ke beech mai hi ticket ka verification karna jaruri hai (Agar aapki yatra raat 10 baje ke bad start hoti hai to TC aapke ticket verify kar sakta hai).

  • Railway niyam ke anusar side lower birth par Safar Karne wale yatri ko side upper birth ke yatri ko din mein niche baithne ki jagah Deni hogi. aisa tab bhi hoga jab side lower birth mein RAC wale 2 yatri pehle se Safar kar rahe hain. Halaki side upper birth ka yatri raat 10 se subah 6 baje tak side lower birth ka Claim nahin kar sakega.
    ViewCloseComments
    Cancel

    • Facebook
    • Contact
    • Twitter
    • Instagram
    • YouTube
    • Telegram